JustThink#108 

6th March,2024...10:47 pm

Society ke piche vale maidan mai horahi shadi ki aawaz itni jyada hai ki kamre me bethkar, apne kaan mai earphones daalkar high volume par ek pyaara gaana sun raha hu

"Jo khatam ho kisi jagah, ye aisa silsila nahi...abhi nahi abhi nahi,nahi nahi nahi nahi"

Aur soch raha hu aaj kis baare me likhu?
Ye likhu ki kese subah se apne neck lump se pareshan tha aur shaam ko sonography ki report mai kuch serious nahi aaya
Ya ye likhu ki kese apni sabse pehli book ko abh bhi khatam nahi kar paya hu aur brand bhi pata nahi kitna wait karege...
Sochta hu likhu uss baat ke baare mai jo ek reel ki pyaari kahavat sunkar dimag mai chal rahi thi...
"Agar vo puchle humse ki kis baat ka gham hai,
Agar vo puchle humse ki kis baat ka gham hai,
To fir kis baat ka gham ho
Agar vo puchle humse..."

Itne deep shayaris sunke to relate na bhi ho to relate kar jaata hai, vese ye reel Dr Vikas Divyakriti ji ki thi jinhone kisi event mai kahi thi...
Ek baar ye gale par lump ka ilaaj hojaye fir apni book ki kahaniyo par focus karna hai jisse kai dino se likhne mai kahi na kahi maja aaraha tha jabki mujhe pata hai ye book sirf ek pehla version hai aur isme kai tarah ki galtiya hogi as a writer
Magar dil nahi karta jyada sochneka, bas mann karta hai kahaniya likhta jaau bina kisi structure ko follow kare, bina kisi rules ke aur bina kisi agenda ke...
Bas mann karta hai ki koi padhle ek baar book ko aur koi ek kahani ko feel karjaye...bas mujhe jo feel hua vo unhe feel hojaye, isi mai maja hai fir to kya hi rules, kya hi strucutre kya hi brand...

Pata hai still thoda discipline to rakna hi hai likhne mai, thoda sochna hi hai wiritng mai, thoda samajna hi hai target audience ko bechne ke liye...
Ajeeb hai ye baat ki pichle 3 mahino se mai ek shabd nahi likhpaya magar abh jabse book par kaam karna shuru kiya hai to dimag mai ek bhi khayal nahi aata bas lagta hai likhna shuru karta hu aur khayal apne aap banne lagega...

Jese iss blog ko mai bas kuch lines mai khatam karneka soch raha tha magar khayalo mai kese kuch paragraphs likh liye ajeeb hai...ya shayad yehi sahi tarika ho?
Pata nahi, aur pata karna bhi nahi hai,

Kyu sochna ki kya likhna hai, kalam chalana shuru to karo,khayal...apne aap banege !

"Abhi na jaao chodkar ke dil abhi bhara nahi..."